Hazrat Syed Muhammad Maroof Madni
Rahmatullah Alayh
Hazrat Syed Muhammad Maroof Madni Shah Rahmatullah Alayh ki tareekh e wiladat maloom nahi ho saki aap Rahmatullah Alayh Hazrat Molana Shah Fazl e e Rehman Ganj Muradabadi ke khalifa thay. Aap ke baet honay ka waqea kuch is terhan hai .
Jab Hazrat Syed Muhammad Maroof Madni Rahmatullah Alayh Mecca Mukarmh mein thay to aap Rahmatullah Alayh ne kayi martaba Hazrat Molana Shah Fazl e Rehman Ganj Muradabadi Rahmatullah Alayh ko Khanah Kaaba mein namaz parhte hue dekhte. Jab milnay ki niyat se qareeb jatay to aap Rahmatullah Alayh gayab ho jatay. Jis ke baad aap Rahmatullah Alayh ke dil mein Hazrat Molana Shah Fazl e Rehman Ganj Muradabadi Rahmatullah Alayh ke baray mein jan-nay ki justjoo peda hui. Bohat dinon ke baad kisi ne Hazrat Syed Muhammad Maroof Madni Rahmatullah Alayh ko bataya kay agar aap Rahmatullah Alayh ne un se milna hai to Ganj Muradabad chalay jao jo Utar Pradesh India mein waqay hai to Hazrat Syed Muhammad Maroof Madni Rahmatullah Alayh ne foran Ganj Muradabad jane ka faisla kar liya aur India rawana ho gaye .
Hazrat Syed Muhammad Maroof Madni Rahmatullah Alayh Ganj Muradabad pahonch kar Hazrat Molana Shah Fazl e Rehman Ganj Muradabadi Rahmatullah Alayhki khidmat Aqdes mein haazir hue aur Sharf e baet haasil ki aur baad mein sulooq ki Manazil tay karte hue aap ke khalifa hue .
Aap 28 Rajab 1316 Hijri mein Alwar Rajistan India ke maqam par is duniya se rukhsat hue. Aap ka mazaar Alwar Rajistan India mein hai. Aap ke hazaron mureed thay aur bohat se log aap se akhaz tareeqa kar kay bakhuda ho gaye. Yeh alfaaz Molana Nawab Syed Noor ul Hassan ki kitaab Majmoa e Rasail main likhe hain jo kay 1897 Eewsi mein shaya hui us se liye gaye hain .
Ba wajood jad o jehad ke Hazrat Syed Muhammad Maroof Madni Shah Rahmatullah Alayh ki tareekh e paidaiesh aur mazeed halaat maloom nahi ho sakay. Agar kisi sahib ke paas is baray mein kuch maloomat hoon ya mazaar shareef ki tasaveer mojood hon to fori tour par mujh se rabita qaim kar ke is kar e kher mein hissa daar banay .
ISRAR UL HAQ
+ 923218457693